Something instant Socha tha bahut age badhunga
Bahut kuch karunga
Par itne traffic signal hain har mor par
Ki kya aage badhunga or kya karunga
Phir sochta hun jab signal aye
To thora aaram karlun
Uske baad ki 100 ki speed ke liye energy bharlun
Aise bhi chalti hai zindagi to chal jaye
Ruk ruk kar hi sahi aage barne ko to mil jaye
papa kehte hai chahe jo bhi ho aage badho
Situation kitni bhi against ho, jo ban pare woh karo
Na ummeed hona maine tumhe sikhaya nahin
Nirash kal ka sapna maine tumhe dikhaya nahi
Isliye Itni khuli rahein bhi mil jayein to samjo treat hai
Tumse kabil bhi bahut aise hain, jinke naseeb mein sirf street hain
Kyonki mujhe bhi ummeed ko zinda rakhne ki lust hain
To isliye aage barne ki koshish karna to must hain
So getting back to the hope which is
Kabhi to hum par bhi nazar jayegi
Kamyabi ki raah humein khud hi kheechkar le jayegi
Aisa din bhi ayega ki jo kehtein hai ki tum kuch bhi nahin
Wohi kahenge ¨Dheeraj tumhare siwa aur koi bhi nahin!!!! aur koi bhi nahin"
No comments:
Post a Comment