just going through my gmail archives and found some simple and sweet words...
Aaj hamare office mein light chali gayi. PC band , AC band .. uff jaan nikal gayi
kaafi der jab 'bijli' waapas nahi aayi
kisi ko window ki yaad aayi
window khuli.. thandi hawa se pura floor bhar gayaye
hawa..jo..roj chalti hai .....
elevators nahi chal rahi thi
kuch logon ko stairs bhi dhundni padi
aare ... stairs toh jaldi pahuncha deti hain
haan ye such hai..and ye stairs baaki days pe bhi yahi hoti hain
aur maine kya kiya ...maine usse dekha jo khidki se bahar dekh rahi thi
woh haansi ... achi dikhti hai yaar...haan bhai.. woh roj hi achi dikhti hai ....
she asked ... walk ? ..maine kaha haan chalo ..we talked and talked ..
'project','C++','coding','no issues','mail','reply' in words ke binabhi kaafi saari baaein ho sakti hai doston..
by the way ....she has chin dimple..when she laughs that is
tumhara favorite actor kaun hai .. mera shah rukh ..she said
maine kaha mera bhi ....she asked really ? kyon ?
i said nahi tum hi bataao .. (saala fus gaya)
aur .. actress ..usne puchcha
sharmila tagore ... i said. she said ..aare but she is so old ...
maine kaha aarey pura to suno..sharmila tagore ..ki.. beti soha ali khan ..
she said "auh.. very funny" (girls say that a lot hai naa!)
6 baj gaye ...she said ab ghar hi nikal jaatin hoon
but no... light villain banke wapas aa gayi ..i said .. ab kya... kaam ?
she said haan aur kya ...hum wapas nikle ...kuch log ghar bhag rahe the..
ek ne chalte chalte .. apne pm se phone pe kaha ..sir ab toh main ..bus mein baith gaya hoon
and woh chal padi hai ..will send that doc tomorrow ...
we looked at each other .. she laughed again .. her dimple ..
toh .. hum pahunch gaye apne apne cubicle
saarein log toh bhaag gaye the
aur hum dono ne ....apna apna kaam karna chalu kiya
…actoron ki dunia se hum 'no issues' ki duniya mein aa gaye ..mails and messanger
and documents and POC and ....
ab 8 baj gaye..chalo ghar jaana hai
maine duur ka rasta liya ... uske cubicle ke baaju wala
woh abhi baithi hai .. i smiled.. she smiled back..gettin late haan ?
i said nahi .. abhi time hai..haan baaaaaas.. ye ek mail ...she said
pressed control + enter ..done ! she said ...
We took the stairs ..yaar sahi mein stairs jaldi pahunchaati hai (kyon !!)
we walked towards the gate
she said aarey meri bus..bye ... she said ...and said.. see you tomorrow sure...i said
kal log puchenge ye light kyon gayi and mein puchunga yaar ye light baar baar kyon nahi jaati...
maana ke light roj nahi jaati hai
per khidki se baahar dekhne mein kya harz hai
khuli saas lene mein kya harz hai
lift mein saamnewaale ke id pe employee id dekhne se acha
Usko ko haske 'hi..' to keh hi sakte hai
forwards toh bahut bhejte hai ..koi personal si mail bhejne mein kya harz hai ....Kyonki doston…
light jaayen yaa naa jaayein
Ye hawa to roj hi chalti hain
saaamne wale cubicle ki ladki…. roj hi sunder dikhti hai..... ;-)
1 comment:
Wah wah... Wah wah..
Post a Comment